Manish Shukla

tu mujhko sun raha hai to sunai kyun nahin deta

Manish Shukla

Sitapur, Uttar pradesh, India

1971
tū mujh ko sun rahā hai to sunā.ī kyuuñ nahīñ detā
ye kuchh ilzām haiñ mere safā.ī kyuuñ nahīñ detā
mire hañste hue lahje se dhokā khā rahe ho tum
mirā utrā huā chehra dikhā.ī kyuuñ nahīñ detā
nazar-andāz kar rakkhā hai duniyā ne tujhe kab se
kisī din apne hone kī duhā.ī kyuuñ nahīñ detā
maiñ tujh ko dekhne se kis liye mahrūm rahtā huuñ
atā kartā hai jab nazreñ rasā.ī kyuuñ nahīñ detā
ka.ī lamhe churā kar rakh liye tū alag mujh se
tū mujh ko zindagī-bhar kī kamā.ī kyuuñ nahīñ detā
ḳhud apne-āp ko hī gher kar baiThā hai tū kab se
ab apne-āp se ḳhud ko rihā.ī kyuuñ nahīñ detā
maiñ tujh ko jiit jaane kī mubārakbād detā huuñ
tū mujh ko haar jaane kī badhā.ī kyuuñ nahīñ detā
Top Urdushayar.com