rafta rafta rañg bikharte jaate haiñ
tasvīroñ ke daaġh ubharte jaate haiñ
vaqt kī sāzish gahrī hotī jaatī hai
dīvāroñ ke rañg utarte jaate haiñ
ban kar phir aaseb bhaTakne lagte haiñ
dil ke vo ehsās jo marte jaate haiñ
yādoñ meñ ik Tiis banī hī rahtī hai
dhīre dhīre zaḳhm to bharte jaate haiñ
āḳhir tak insān akelā rahtā hai
yuuñ hī māh-o-sāl guzarte jaate haiñ
āb-o-dāna aur nasheman ke sapne
panchhī kī parvāz katarte jaate haiñ
zaḳhmoñ meñ har roz izāfa hotā hai
ġhazloñ ke mafhūm sañvarte jaate haiñ