safar ke tasavvur se sahmā huā huuñ
baḌī der se yuuñ hī Thahrā huā huuñ
udhar Dūbte jā rahe haiñ sitāre
idhar maiñ ḳhayāloñ meñ uljhā huā huuñ
jalāne ke qābil na likhne ke laa.eq
maiñ kāġhaz huuñ saada pa bhīgā huā huuñ
sambhāle huuñ ḳhud ko baḌī kāvishoñ se
mujhe chhū na lenā maiñ chaTḳhā huā huuñ
musalsal paḌī hai kaḌī dhuup mujh par
mirā rañg dekho maiñ kaisā huā huuñ
na baaqī hai saaya na barg-o-samar haiñ
maiñ mausam kī sāzish kā maarā huā huuñ
thameñgī kabhī to muḳhālif havā.eñ
yahī soch kar ḳhud meñ simTā huā huuñ