Manish Shukla

zamin ke hath yun apna shikanja kas rahe the

Manish Shukla

Sitapur, Uttar pradesh, India

1971
zamīñ ke haath yuuñ apnā shikanja kas rahe the
sutūñ saare mahal ke rafta rafta dhañs rahe the
umīdeñ lamha lamha ghaT ke martī jā rahī thiiñ
ajab aaseb se aa kar diloñ meñ bas rahe the
shajar pe zahr ne ab rañg dikhlāyā hai apnā
rutoñ ke saañp yuuñ to muddatoñ se Das rahe the
mirā sūraj mirī āñkhoñ ke aage bujh rahā thā
mire saa.e mirī be-chārgī pe hañs rahe the
paḌe haiñ vaqt kī choToñ se ab mismār ho kar
vahī patthar jo apne daur meñ pāras rahe the
ujāḌā kis tarah āñdhī ne bedardī se dekho
nagar ḳhvāboñ ke kitnī hasratoñ se bas rahe the
uḌānoñ ne kiyā thā is qadar māyūs un ko
thake-hāre parinde jaal meñ ḳhud phañs rahe the
Top Urdushayar.com