Manish Shukla

nae manzar sarabon ke meri aankhon mein bhar dena

Manish Shukla

Sitapur, Uttar pradesh, India

1971
na.e manzar sarāboñ ke mirī āñkhoñ meñ bhar denā
agar manzil nazar aa.e mujhe gumrāh kar denā
mujhe ye kashmakash ye shor-o-ġhul sairāb karte haiñ
mirī kashtī ko dariyā aur dariyā ko bhañvar denā
mirī āvārgī hī mere hone kī alāmat hai
mujhe phir is safar ke ba.ad bhī koī safar denā
mirī parvāz kī hasrat yaqīnan zor māregī
agar uḌne lagūñ to mire bāl-o-par katar denā
sunā hai dasht meñ aage bahut tārīk hai rasta
mire raḳht-e-safar meñ chāñd yā ḳhurshīd dhar denā
bujhā denā zarā pahle diyā merī samā.at kā
kabhī merī rihā.ī kī mujhe jab tum ḳhabar denā
judā karnā mire is ḳhvāb se tum daf.atan mujh ko
judā.ī kī mujhe ghaḌiyāñ ḳhudāyā muḳhtasar denā
Top Urdushayar.com