faqīrāna tabī.at thī bahut bebāk lahja thā
kabhī mujh meñ bhī hañstā-kheltā ik shaḳhs rahtā thā
bagūle hī bagūle haiñ mirī vīrān āñkhoñ meñ
kabhī in rahguzāroñ meñ koī dariyā bhī bahtā thā
tujhe jab dekhtā huuñ to ḳhud apnī yaad aatī hai
mirā andāz hañsne kā kabhī tere hī jaisā thā
kabhī parvāz par merī hazāroñ dil dhaḌakte the
duā kartā thā koī to koī ḳhush-bāsh kahtā thā
kabhī aise hī chhā.ī thiiñ gulābī badliyāñ mujh par
kabhī phūloñ kī sohbat se mirā dāman bhī mahkā thā
maiñ thā jab kārvāñ ke saath to gulzār thī duniyā
magar tanhā huā to har taraf sahrā hī sahrā thā
bas itnā yaad hai soyā thā ik ummīd sī le kar
lahū se bhar ga.iiñ āñkheñ na jaane ḳhvāb kaisā thā