Manish Shukla

dil-e-barham ki KHatir muddaa kuchh bhi nahin hota

Manish Shukla

Sitapur, Uttar pradesh, India

1971
dil-e-barham kī ḳhātir mudda.ā kuchh bhī nahīñ hotā
ajab hālat hai ab shikva gilā kuchh bhī nahīñ hotā
koī sūrat ubhartī hai na maiñ mismār hotā huuñ
maiñ vo patthar ki jis kā faisla kuchh bhī nahīñ hotā
kisī ko saath le lenā kisī ke saath ho lenā
faqīroñ ke liye achchhā burā kuchh bhī nahīñ hotā
kabhī chalnā mire aage kabhī rahnā mire pīchhe
rah-e-ulfat meñ chhoTā yā baḌā kuchh bhī nahīñ hotā
kabhī dil meñ mire tere sivā har baat hotī hai
kabhī dil meñ mire tere sivā kuchh bhī nahīñ hotā
vahī TuuTī huī kashtī vahī pāgal havā.eñ haiñ
hamāre saath duniyā meñ nayā kuchh bhī nahīñ hotā
ye saudā hai nigāhoñ kā tijārat dil kī hai lekin
mohabbat meñ ḳhasāra fā.eda kuchh bhī nahīñ hotā
kabhī do chaar qadmoñ kā safar tai ho nahīñ paatā
kabhī mīloñ se lambā fāsla kuchh bhī nahīñ hotā
faqat kirdār kā maarā huā hai har bashar varna
koī insān achchhā yā burā kuchh bhī nahīñ hotā
falak par hī sitāroñ kā koī unvān hotā hai
kisī TuuTe sitāre kā pata kuchh bhī nahīñ hotā
bhale ḳhvāhish karūñ terī kisī bhī shakl meñ lekin
mirā maqsad parastish ke sivā kuchh bhī nahīñ hotā
agar dekhūñ to ḳhāmī hī dikhā.ī de har ik shai meñ
agar sochūñ to ḳhud se bad-numā kuchh bhī nahīñ hotā
ba-zāhir umr-bhar yuuñ to hazāroñ kaam karte haiñ
haqīqat meñ magar ham ne kiyā kuchh bhī nahīñ hotā
Top Urdushayar.com