ek hī baar meñ ḳhvāboñ se kināra kar ke
bujh ga.ī diid shab-e-vasl nazāra kar ke
juz tire aur tarīqe bhī nikal sakte the
ham ne dekhā hī nahīñ ḳhud ko dobāra kar ke
ham to bas bolne vaale the sabhī kuchh sach sach
tum ne achchhā hī kiyā chup kā ishāra kar ke
ham to sadiyoñ se isī taur basar karte haiñ
tum bhī kuchh roz yahāñ dekho guzārā kar ke
ḳhud ko sauñpā thā tumheñ ham ko tumhārā karne
tum ne lauTāyā hameñ ham ko hamārā kar ke
karte rahte haiñ jo har-vaqt tumhārā charchā
ḳhud ko chhoḌeñge kisī roz tumhārā kar ke
ab ye dariyā ye talātum ye safīna kyā hai
ham to sab bhuul ga.e tum ko sahārā kar ke