Manish Shukla

bhaTakta karwan hai aur main hun

Manish Shukla

Sitapur, Uttar pradesh, India

1971
bhaTaktā kārvāñ hai aur maiñ huuñ
talāsh-e-rā.egāñ hai aur maiñ huuñ
batā.ūñ kyā tumheñ hāsil safar kā
adhūrī dāstāñ hai aur maiñ huuñ
nayā kuchh bhī nahīñ qisse meñ mere
vahī bojhal samāñ hai aur maiñ huuñ
har ik jānib tilismātī manāzir
nazar kā imtihāñ hai aur maiñ huuñ
koī shāhid nahīñ sajdoñ kā mere
jabīñ par ik nishāñ hai aur maiñ huuñ
shikasta bāl-o-par takte haiñ mujh ko
fasīl-e-āsmāñ hai aur maiñ huuñ
duā māñgūñ kahāñ kis dar pe jā ke
dayār-e-be-amāñ hai aur maiñ huuñ
bahut dhundlī nazar aatī hai duniyā
umīdoñ kā dhuāñ hai aur maiñ huuñ
bhaTaktā huuñ zamīñ par sar-barahna
falak kā sā.ebāñ hai aur maiñ huuñ
Top Urdushayar.com