lamha lamha dard Tapaktā rahtā hai
jaane andar kaun sisaktā rahtā hai
ik aahaT sī hotī rahtī hai dil meñ
is sahrā meñ kaun bhaTaktā rahtā hai
hijr-zada ik āshiq mahv-e-ġham akasr
maazī ke aurāq palaTtā rahtā hai
phuul sī koī yaad hai us se vābasta
mere dil kā zaḳhm mahaktā rahtā hai
dil jaise mele meñ khoyā ik bachcha
har aahaT kī or lapaktā rahtā hai
sar par itnī dhuup safar hai sahrā meñ
merā saarā jism jhulastā rahtā hai
dil meñ itnī aag nahīñ jo jal uTThe
bas yūñhī chup-chāp sulagtā rahtā hai