zabt-e-ġham se sivā malāl huā
ashk aa.e to jī bahāl huā
phir se bujhne lagī hai bīnā.ī
phir tirī diid kā savāl huā
ik zarā chāñd ke ubharne se
dekh sūraj kā rañg laal huā
kitne logoñ se milnā-julnā thā
ḳhud se milnā bhī ab muhāl huā
ham ne maazī kā har varaq palTā
ham ko har baat par malāl huā
ham to Tuk dekhte rahe us ko
rā.egāñ lamha-e-visāl huā
dard ash.ār meñ utar aayā
log kahne lage kamāl huā