ghabrā kar aflāk kī dahshat-gardī se
ham ne ḳhud ko toḌ diyā bedardī se
jab ḳhud ko har taur bayābāñ kar Daalā
tab jā kar baaz aa.e dasht-navardī se
ab bhī kyā kuchh kahne kī gunjā.ish hai
sab kuchh zāhir hai chehre kī zardī se
ham ik baar bhaTak kar itnā bhaTke haiñ
ab tak Darte haiñ āvāragardī se
ham bhī ishq kī pagDanDī se guzre haiñ
vāqif haiñ pech-o-ḳham kī sar-dardī se