kisī bhī shai pe aa jaane meñ kitnī der lagtī hai
magar phir dil ko suljhāne meñ kitnī der lagtī hai
zarā sā vaqt lagtā hai kahīñ se uTh ke jaane meñ
magar phir lauT kar aane meñ kitnī der lagtī hai
balā kā ruup ye tevar sarāpā dhaar hiire kī
kisī ke jaan se jaane meñ kitnī der lagtī hai
faqat āñkhoñ kī jumbish se bayāñ hotā hai afsāna
kisī ko haal batlāne meñ kitnī der lagtī hai
sabhī se uub kar yuuñ to chale aa.e ho ḳhalvat meñ
magar ḳhud se bhī uktāne meñ kitnī der lagtī hai
shu.ūr-e-mai-kada is kī ijāzat hī nahīñ detā
vagarna jaam chhalkāne meñ kitnī der lagtī hai
ye shīshe kā badan le kar nikal to aa.e ho lekin
kisī patthar se Takrāne meñ kitnī der lagtī hai