āḳhirī koshish bhī kar ke dekhte
phir usī dar se guzar ke dekhte
guftugū kā koī to miltā sirā
phir use nārāz kar ke dekhte
kaash juḌ jaatā vo TuuTā aa.ina
ham bhī kuchh din ban sañvar ke dekhte
rah-guzar hī ko Thikānā kar liyā
kab talak ham ḳhvāb ghar ke dekhte
kaash mil jaatā kahīñ sāhil koī
ham bhī kashtī se utar ke dekhte
ho gayā taarī sañvarne kā nasha
varna ḳhvāhish thī bikhar ke dekhte
dard hī gar hāsil-e-hastī hai to
dard kī had se guzar ke dekhte