Manish Shukla

ek KHwab chhan se TuT ke aankhon mein gaD gaya

Manish Shukla

Sitapur, Uttar pradesh, India

1971
ik ḳhvāb chhan se TuuT ke āñkhoñ meñ gaḌ gayā
itnā hañse ki chīḳh ke ronā bhī paḌ gayā
ye kis ne apnī Tiis varaq par utaar dī
ye kaun apne dil ko siyāhī se jaḌ gayā
ab to ḳhayāl-e-yār se hotā hai ḳhauf sā
chehra kisī kī yaad kā kitnā bigaḌ gayā
lahroñ kā shor tham gayā tūfān so ga.e
kashtī ke Dūbte hī samundar ujaḌ gayā
jab tak hamāre naam se vāqif huā jahāñ
tab tak hamāre naam kā patthar ukhaḌ gayā
kar to liyā hai dard kī lahroñ kā sāmnā
lekin hamāre zarf kā baḳhiya udhaḌ gayā
us ko Thahar ke dekhte hasrat hī rah ga.ī
vo daf.atan milā thā achānak bichhaḌ gayā
Top Urdushayar.com