ik jism haiñ ki sar se judā hone vaale haiñ
ham bhī zabāñ se apnī adā hone vaale haiñ
tārīf ho rahī hai abhī thoḌī der ba.ad
ḳhush hone vaale saare ḳhafā hone vaale haiñ
sunte haiñ vo anār-kalī khilne vaalī hai
kahiye ki ham bhī mauj-e-sabā hone vaale haiñ
qurbat meñ us kī aur hī kuchh hone vaale the
is se bichhaḌ ke dekhiye kyā hone vaale haiñ
mantar kī tarah us ko paḌhe jā rahe haiñ ham
ik din tilism-e-hosh-rubā hone vaale haiñ