haiñ shāḳh shāḳh pareshāñ tamām ghar mere
kaTe paḌe haiñ baḌī duur tak shajar mere
charāġh in pe jale the bahut havā ke ḳhilāf
bujhe bujhe haiñ jabhī aaj bām-o-dar mere
hazāroñ saal kī tārīḳh likkhī jā.egī
zamīñ ke batn se ubhreñge jab khañDar mere
ye dekhnā hai ki ab haar māntā hai kaun
udhar hai vus.at-e-imkāñ idhar haiñ par mere
maiñ apnī zaat kī ta.abīr kī talāsh meñ thā
to mere ḳhvāb chale ban ke ham-safar mere
surāġh-e-mausam-e-gul ke amiin kī sūrat
khile hue haiñ ḳhizāñ meñ bhī zaḳhm-e-sar mere