ahbāb bhī haiñ ḳhuub ki tash.hīr kar ga.e
merā sukūt ishq se ta.abīr kar ga.e
jādū-asar the hoñT ki sāġhar ko chuum kar
kuchh aur hī sharāb kī tāsīr kar ga.e
har uzv jaise jism kā thā boltā huā
lahrā.e us ke haath ki taqrīr kar ga.e
az-bām tā-ba-mai-kada gesū dhuāñ dhuāñ
aalam tamām halqa-e-zanjīr kar ga.e
tahrīr-e-ḳhatt-e-jām se sab vā hue rumūz
ham uqda-e-miyān kī tadbīr kar ga.e
haañ kātibān-e-nāma-e-a.amāl ko thī kad
kuchh aur merī fard meñ tahrīr kar ga.e
'sahbā' vo ek lafz thā dīvār kā likhā
ham jo miTe to ishq kī tauqīr kar ga.e