har ek bandish-e-ḳhud-sāḳhta bayāñ se uThā
takallufāt kā parda bhī darmiyāñ se uThā
faqat ḳhalā hī nahīñ hai sadā lagāte chalo
ki abr-e-bārish-e-naisāñ bhī āsmāñ se uThā
shajar ke saa.e meñ baiThā huuñ maiñ tujhe kyā hai
jo ho sake to mujhe apne āstāñ se uThā
fusūñ-tarāz thī kab chashm-e-nīm-vā itnī
lahū kā fitna magar zeb-e-dāstāñ se uThā
nazar na aa.ī jo rāh-e-mafar to phir maiñ bhī
dhuāñ dhuāñ sā sar-e-bazm-e-dostāñ se uThā
yahāñ kī rasm hai 'sahbā' kasād-bāzārī
ye jins-e-dil hai baḌī be-bahā dukāñ se uThā