mohlat na de zarā bhī mujhe merī jaan khīñch
maiñ aarzū tamām huuñ apnī kamān khīñch
ik mahshar-e-jamāl uThā toḌ de jumūd
tīr-e-nazar zamīn se tā-āsmān khīñch
maiñ aa rahā huuñ barsar-e-mauj-e-havā-e-gul
tū laakh apne gird hisār-e-makān khīñch
lamhāt-e-be-amāñ bhī ġhanīmat haiñ paas aa
mauzū-e-dīgarāñ bhī na ab darmiyān khīñch
vo lab-chashīdnī haiñ vo dāman-kashīdnī
aa.e na gar yaqīñ to pa.e-imtihān khīñch
'sahbā' ye shahr-e-zīst sadāoñ kā shahr hai
ya.anī tanāb-e-hasrat-e-husn-e-bayān khīñch