ek maiñ huuñ ek tū hai bā-ḳhabar koī nahīñ
haath meñ de haath apnā sar-ba-sar koī nahīñ
shaam mushfiq hai qarīb aa dard kā darmāñ kareñ
raat ke sahrā meñ apnā chāra-gar koī nahīñ
ret ke siine pe rah rah kar chamak uThtā hai kuchh
ab ba-juz ik naqsh-e-pā ke rāhbar koī nahīñ
moḌ ke baa.eñ taraf hai sañg andāzoñ kā shahr
dil sā ā.īna na le jā shīshagar koī nahīñ
jaane ye aaseb hai kis kī sadā kā dar-ba-dar
maiñ yahāñ huuñ maiñ yahāñ huuñ dīda-var koī nahīñ
DhūñDte phirte ho kis ko chāñd kī mash.al liye
zindagī ik fāsla hai muntazar koī nahīñ