shab-e-surūr na.ī dāstāñ visāl-o-firāq
na fikr-e-sūd-o-ziyāñ darmiyāñ visāl-o-firāq
maiñ us se baat karūñ bhī to kis havāle se
ki musta.ār makāñ meñ kahāñ visāl-o-firāq
usī ke naam pe jiite haiñ aur marte haiñ
yahī hai qissa-e-āshutagāñ visāl-o-firāq
vo kah gayā hai ki ā.ūñgā muntazir rahiyo
maiñ mubtalā-e-yaqīn-o-gumāñ visāl-o-firāq
vo paḌh rahā thā baḌe ġhaur se lahū kī sarisht
har ek buuñd kā sirr-e-nihāñ visāl-o-firāq
havā-e-sub.h na jaane kahāñ kahāñ le jaa.e
shab-e-murād shab-e-darmiyāñ visāl-o-firāq
maiñ us ko haath lagātā bhī kis tarah 'sahbā'
ajiib kashmakash-e-jāñ azaañ visāl-o-firāq