suḳhan ko tuul na de apnī ehtiyāj batā
uThā na dil kī koī baat kal pe aaj batā
khaḌā huuñ dar pe sarāsīmgī ke aalam meñ
vo mujh se pūchh rahā hai ki kām-kāj batā
mufāhamat mirī koshish supurdagī tirā kaam
tū apne shahr-e-junūñ kā mujhe rivāj batā
ḳhud apne haath se apnī uḌā chukā huuñ ḳhaak
ab aur kyā ho mukāfāt-e-ehtijāj batā
kitāb-e-dil ko maiñ tartīb de rahā huuñ phir
havā-e-tāza hai kaisā tirā mizāj batā
vo gaah sho.ala hai 'sahbā' to gaah shabnam hai
kahīñ pe dekhā hai aisā bhī imtizāj batā