javāz-e-āb-o-tāb ab gulāb ke liye nahīñ
hamārī yaad zīnat-e-kitāb ke liye nahīñ
nikal ke āsmāñ pe aa samundaroñ pe naam likh
tū chāñd hai to chādar-e-hijāb ke liye nahīñ
mirī amānateñ sambhāl ujaal de mire nuqūsh
ye dard ab kisī se intisāb ke liye nahīñ
muravvatoñ ke zaḳhm bhī aziiz rakhnā jaan se
sulūk-e-dostāñ hai ye hisāb ke liye nahīñ
lahū kā zā.iqa na chakh lahū kā tajraba na kar
lahū hai iztirāb iztirāb ke liye nahīñ
mire junūñ ko ḳhair-o-shar ke dā.ere se duur rakh
ye zindagī kā husn intiḳhāb ke liye nahīñ
har ek ajnabī se apnā mudda.ā bayāñ na kar
nazar-shanās hai to ijtināb ke liye nahīñ