Sahba Waheed

bim-o-raja mein qaid har ek mah-o-sal hai

Sahba Waheed

1938
bīm-o-rajā meñ qaid har ik māh-o-sāl hai
jaise ye zindagī bhī koī yarġhamāl hai
uljhā huuñ aatī jaatī sadāoñ se bārhā
bichhḌā huuñ har navā se ki ḳhvāb-o-ḳhayāl hai
TuuTā huuñ is tarah ki bikhartā chalā gayā
bikhrā huuñ is tarah ki sañvarnā muhāl hai
is jabr-o-iḳhtiyār se pāmāl maiñ bhī huuñ
ai rūh-e-ehtijāj batā kyā ḳhayāl hai
vīrān rahguzār pe uḌtī hai roz ḳhaak
ab tak mirī talāsh meñ bād-e-shimāl hai
sūrat-garī ke shauq ne gumrāh kar diyā
ab maiñ mirī jabīñ mirā dast-e-savāl hai
bas yūñhī mat guzar kabhī sahbā se baat kar
kahte haiñ us se milnā baḌā nek faal hai
Top Urdushayar.com