Noman Imam

tu agar abr hai main abr mein pani ki tarah

Noman Imam

tū agar abr hai maiñ abr meñ paanī kī tarah
maiñ tire saath huuñ lafzoñ meñ ma.ānī kī tarah
nafsī-nafsī kā ye aalam hai ki aate jaate
tum mile bhī to qayāmat kī nishānī kī tarah
yuuñ hī ik roz guzar jā.ūñgā rāhoñ se tirī
maiñ bhī bahtī huī nadiyoñ kī ravānī kī tarah
dekh kar tujh ko kaleje meñ kasak uThtī hai
dhaj tirī hai mirī āshufta-bayānī kī tarah
nā-murādī meñ tū ai dasht akelā hī nahīñ
maiñ bhī pyāsā huuñ tirī tishna-dahānī kī tarah
aaj sun lo mirī bāteñ ki abhī zinda huuñ
kal sunā jā.ūñgā mahfil meñ kahānī kī tarah
Top Urdushayar.com