Noman Imam

aks aankhon mein be-dhiyani ka tha

Noman Imam

aks āñkhoñ meñ be-dhiyānī kā thā
yā sabab dil kī bad-gumānī kā thā
bujhtā bujhtā hubāb paanī kā thā
lamha lamha maiñ zindagānī kā thā
kuchh tabī.at bhī zor par thī mirī
kuchh taqāzā bhī naujavānī kā thā
maiñ thā kāmil nazar-shanāsī meñ
zo.am us ko mizāj-dānī kā thā
thā jo khaTkā sā har ghaḌī dil meñ
uzr bas us kī pāsbānī kā thā
ik na.ī tarah be-niyāzī kī thī
ik nayā taur mehrbānī kā thā
ek rasta har ek bastī kā thā
ek unvān har kahānī kā thā
Dūbtī ik sadā sī lahr meñ thī
jāgtā shor sā ravānī kā thā
zad pe aate hī khul gayā hai 'imām'
jo bharam us kī bādbānī kā thā
Top Urdushayar.com