har ghaḌī har lamha uThte pattharoñ ke saath maiñ
TuuTe TuuTe kitne shīshoñ ke gharoñ ke saath maiñ
āñdhiyoñ ke dosh par sham.eñ jalātā roz o shab
qahr meñ biphrī havā ke lashkaroñ ke saath maiñ
sabza-zāroñ kī tamannā mujh meñ sargarm-e-safar safar
chilchilātī dhuup ke nāma-baroñ ke saath maiñ
rafta rafta shaam ke nā-mehrbāñ sailāb meñ
Dūbtā sā ujle ujle se paroñ ke saath maiñ
maiñ bhaTaktī ummatoñ kā ek dard-e-mushtarak
har zamāne meñ rahā paiġhambaroñ ke saath maiñ
dā.era-dar-dā.era chāroñ taraf bikhrā huā
ek samundar meñ sadā ke kañkaroñ ke saath maiñ
tū na jaane kin añdheroñ meñ chhupī baiThī huī
rāsta chuntā huā kitne Daroñ ke saath maiñ