lahū kī bebasī ko yuuñ na rusvā chhoḌ denā thā
kuchh is meñ ġhairat-e-jāñ kā havāla chhoḌ denā thā
maiñ ā.īnoñ meñ ḳhud ko DhūñDhtā huuñ ḳhud nahīñ miltā
mire chehroñ meñ koī merā chehra chhoḌ denā thā
ajab ghar haiñ ki jin meñ koī khiḌkī hai na darvāza
havā ke aane jaane kā to rasta chhoḌ denā thā
abas sāhil pe tum lahroñ ko kyuuñ gin rahe yūñhī
jo ḳhvāhish motiyoñ kī thī kināra chhoḌ denā thā
unheñ to karbalā kī tishnagī āvāz detī thī
vo dariyā the unheñ shahr-e-madīna chhoḌ denā thā
fasādoñ ke zamāne meñ sukūñ achchhā nahīñ lagtā
kisī afvāh kā koī shagūfa chhoḌ denā thā
numūd-o-nām ne kis ko kahāñ par kab sukūñ baḳhshā
miyāñ is ke liye shohrat kā saudā chhoḌ denā thā