Noman Imam

talluqat-e-wafa mein jo sard ab tak hai

Noman Imam

ta.alluqāt-e-vafā meñ jo sard ab tak hai
ka.ī mahāz pe garm-e-nabard ab tak hai
agarche shahr ke hālāt pur-sukūn bhī haiñ
har ek chehra magar zard zard ab tak hai
bhaḌak uThe to zamāne kī ḳhair nā-mumkin
vahī jo aag sī siine meñ sard ab tak hai
tumhārī baat se vo sañg-dil pighaltā kyā
tumhārā dil bhī to mahrūm-e-dard ab tak hai
vo ek ḳhvāb ki ta.abīr pā sakā na abhī
vo ik ḳhayāl ki sahrā-navard ab tak hai
havā ne kaun se ḳhvāboñ se dil lagāyā thā
hamārī tarah jo āvāra-gard ab tak hai
Top Urdushayar.com