Noman Imam

kin dushmanon ka tir banaya gaya hun main

Noman Imam

kin dushmanoñ kā tiir banāyā gayā huuñ maiñ
apne hī jism-o-jāñ meñ utārā gayā huuñ maiñ
jo sab se kaT chukā huuñ to hairat kī baat kyā
ab apne saath bhī kahāñ paayā gayā huuñ maiñ
ik umr tak to maiñ bhī zamāne ke saath thā
kuchh baat hai jo lauT ke ghar aa gayā huuñ maiñ
vo māh-vash sunā hai ki guzregā is taraf
ik kahkashāñ sī raah meñ bikhrā gayā huuñ maiñ
ḳhud apne-āp se bhī kahāñ thā maiñ mutma.in
ab jo zamāne tujh ko bhī raas aa gayā huuñ maiñ
ik sāneha sā dafn huuñ lekin kabhī kabhī
sadiyoñ kī qabr se bhī uThāyā gayā huuñ maiñ
ab kis tarah maiñ apne laboñ ko sameT luuñ
kin āñdhiyoñ kī zad pe chalāyā gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com