Shahbaz Rizvi

yaadon ki diwar giraata rahta hun

Shahbaz Rizvi

Bihar, India

1995
yādoñ kī dīvār girātā rahtā huuñ
maiñ paanī se aañkh bachātā rahtā huuñ
sāhil pe kuchh der akele hotā huuñ
phir dariyā se haath milātā rahtā huuñ
yādoñ kī barsāt to hotī rahtī hai
maiñ āñkhoñ se ḳhvāb girātā rahtā huuñ
'sāhir' kī har nazm sunā kar majnūñ ko
maiñ sahrā kā dard baḌhātā rahtā huuñ
duniyā vaale mujh ko pāgal kahte haiñ
maiñ sūraj se aañkh milātā rahtā huuñ
patthar-vatthar mujh se nafrat karte haiñ
maiñ andhoñ ko raah dikhātā rahtā huuñ
mere pīchhe qais kī āñkheñ paḌ ga.ī haiñ
dariyā dariyā pyaas bujhātā rahtā huuñ
mujh ko dasht-e-sukūt sadā.eñ detā hai
sahrā sahrā ḳhaak uḌātā rahtā huuñ
mujh ko mere naam se jaanā jaatā hai
maiñ 'rizvī' kā Dhoñg rachātā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com