vo aks mujh meñ junūñ-sāz raqs karne lagā
maiñ aa.ine kī tarah TūTne bikharne lagā
shab-e-alam hai sitāroñ se ham-kalāmī hai
isī bahāne safar ḳhair se guzarne lagā
maiñ tum se duur huā huuñ to maslahat hai koī
ye mat samajhnā ki mil ke nasha utarne lagā
nahīñ rahī tire naqsh-e-qadam kī baas yahāñ
ye rāsta tirī yādoñ se ab sañvarne lagā