dil-lagī bād-e-ḳhizāñ kar le gulistānoñ ke saath
ho chale haiñ ham bhī kuchh mānūs vīrānoñ ke saath
hashr se kuchh kam na thī guzrī jo ai rabb-e-jalīl
tere insānoñ ke hāthoñ tere insānoñ ke saath
aql jab ruk jaa.e to lāzim hai mahmez-e-junūñ
koī dīvāna bhī hotā kaash farzānoñ ke saath
zor par hai zohd ke parde meñ jañg-e-zar-garī
sho.abada-bāzī vahī hai saada īmanoñ ke saath
pastiyoñ ke saa.e baḌh kar choTiyoñ par chhā ga.e
jhoñpaḌe Takrā ga.e 'manzūr' aivānoñ ke saath