jabīñ pe gard-e-kudūrat mirā usuul nahīñ
jafā-e-ahl-e-zamāna pe dil malūl nahīñ
mirī ḳhudī to khaTaktī thī terī āñkhoñ meñ
tire huzūr mirā ijz bhī qubūl nahīñ
ye bikhre taare ye be-nazm phuul shāhid haiñ
numūd-e-husn meñ pābandī-e-usūl nahīñ
zarūr kuchh to hai apnī hayāt kā maqsad
sunā hai chiiz koī dahr meñ fuzūl nahīñ
mire vaqār pe tere karam pe harf aatā
maqām-e-shukr hai merī duā qubūl nahīñ
mire ġhubār se dāman-kashāñ ho kyuuñ yaaro
chaman kī bū-e-pareshāñ huuñ ban kī dhuul nahīñ