madd-e-nazar nahīñ hai faqat mehrbāñ kī ḳhair
shāmil mirī duā meñ dil-e-dushmanāñ kī ḳhair
fursat mile to apnī zamīñ kī ḳhabar bhī le
ai rabb-e-zul-jalāl tire āsmāñ kī ḳhair
josh-e-junūñ meñ pesh-e-nazar maslahat bhī thī
sajde kiye haiñ maañg ke us āstāñ kī ḳhair
har ins-o-jāñ ne aañkh kaḌe vaqt pher lī
ham the ki māñgte rahe har ins-o-jāñ kī ḳhair
yaḳh-bār sard-mehrī-e-insāñ se kā.enāt
is arz-e-zamharīr meñ qalb-e-tapāñ kī ḳhair
insāñ kā haath un kī taraf bhī darāz hai
pākīzgī-e-husn-e-mah-o-kahkashāñ kī ḳhair
TuuTā hai dil jarāhat-e-chāra-garāñ kā shukr
TuuTā hai jaam niyyat-e-shīsha-garāñ kī ḳhair
ye shāḳh-e-sar-barahna ye jhakkaḌ ye raqs-e-barq
'manzūr' ḳhair ḳhair tire āshiyāñ kī ḳhair