Manzoor Ahmad Manzoor

sitam ye hai ki un ka jaur-e-paiham kam nahin hota

Manzoor Ahmad Manzoor

sitam ye hai ki un kā jaur-e-paiham kam nahīñ hotā
mizāj-e-ishq is par bhī kabhī barham nahīñ hotā
ye hālat hai ki kuchh pā kar ḳhushī dil ko nahīñ hotī
agar kuchh kho bhī jaatā hai to us kā ġham nahīñ hotā
kabhī hañste haiñ aur āñkhoñ meñ aañsū aa.e jaate haiñ
kabhī rote haiñ aur dāmān-e-mizhgāñ nam nahīñ hotā
ḳhulūs aur āshtī kī raah meñ āñkheñ bichhātā huuñ
ġhurūr-e-jāh ke aage mirā sar ḳham nahīñ hotā
nishān-e-naqsh-e-pā chhoḌūñgā har ik gaam par mujh se
guzishta azmatoñ kī ḳhaak par mātam nahīñ hotā
Top Urdushayar.com