zamāna hech hai us kī nigāh meñ ai dost
jo aa gayā tire ġham kī panāh meñ ai dost
jhalak rahī hai jo chashm-e-siyāh meñ ai dost
vo mauj-e-nūr kahāñ mehr-o-māh meñ ai dost
lahū jo sīna-e-dahqāñ se buuñd buuñd girā
chamak rahā hai vahī tāj-e-shāh meñ ai dost
sanam-kade meñ bhī jis shirk ko amaañ na milī
faroġh par hai vahī ḳhānqāh meñ ai dost
sukūn-e-dil bhī ajab chiiz hai ki us ke tufail
jabīñ pe nuur hai hāl-e-tabāh meñ ai dost
na mujtahid hai na suufī magar tirā 'manzūr'
azīz-tar hai jahāñ kī nigāh meñ ai dost