Manzoor Ahmad Manzoor

kaif-e-ada bhi hai nigah-e-pur-fitan ke sath

Manzoor Ahmad Manzoor

kaif-e-adā bhī hai nigah-e-pur-fitan ke saath
lagtī hai dil pe choT magar bāñkpan ke saath
ḳhunkī hai chāñdnī meñ tamāzat hai dhuup meñ
tashbīh kis ko deñ tire nūr-e-badan ke saath
sar de ke surḳh-rū the kabhī bandagān-e-ishq
rasm-e-kohan thī ḳhatm huī kohkan ke saath
ik maslahat kī mohr hai lab par lagī huī
varna hazār shikve haiñ ahl-e-vatan ke saath
vo sher-e-naġhz kyuuñ na ho juzv-e-rag-e-hayāt
kuchh fikr kā rachāv bhī jis meñ ho fan ke saath
Top Urdushayar.com