qamar bhī duur na thā kahkashāñ buland na thī
hamīñ ko farsh se duurī magar pasand na thī
zarā sī ātish-e-ġham se chaTaḳh ke bujh jaatī
mirī hayāt-e-junūñ dāna-e-sipand na thī
lahū zamīñ ke shagāfoñ se be-sabab phūTā
falak kī aañkh abhī mā.il-e-gazand na thī
yahī ki paas thā taqdīs-e-bām kā varna
talab ke haath meñ kyā shauq kī kamand na thī
hamāre haal pe ahl-e-jahāñ ke hoñToñ par
hañsī na thī koī aisī jo zahr-ḳhand na thī
shaguft-e-gul kī sadā ho ki girya-e-shabnam
jahāñ meñ kaun sī āvāz thī jo pand na thī
fareb de ga.ī aalam ko ḳhū-e-tanhā.ī
mire junūñ kī tabī.at to ḳhud-pasand na thī
ziyāñ thā naaz mata-e-hunar pe ai 'manzūr'
ye chiiz chashm-e-zamāna meñ arjumand na thī