Manzoor Ahmad Manzoor

KHulus-e-ijz-o-bandagi rahin-e-dar nahin to kya

Manzoor Ahmad Manzoor

ḳhulūs-e-ijz-o-bandagī rahīn-e-dar nahīñ to kyā
haram se be-niyāz hai agar mirī jabīñ to kyā
yahāñ to buuñd buuñd ko nazar taras taras ga.ī
mileñ agar bahisht meñ sharāb-o-añgbīñ to kyā
numūd-e-zindagī vahī ḳhurūsh-o-hamhama vahī
ujaḌ ga.e makāñ to kyā badal ga.e makīñ to kyā
sharar-ba-kaf nujūm bhī ridā-e-gul bhī ḳhūñ-chakāñ
nikhar gayā falak to kyā sañvar ga.ī zamīñ to kyā
suḳhan to man kī mauj hai kahā jo lab pe aa gayā
zamāna daad de na de bashar hai nukta-chīñ to kyā
Top Urdushayar.com