Ashok Goyal Ashok

kaisi ye afsurdagi hai aaj-kal

Ashok Goyal Ashok

Guna, Madhya Pradesh, India

1951
kaisī ye afsurdagī hai āj-kal
zindagī meñ kuchh kamī hai āj-kal
chāñd kī āvārgī se chāñdnī
sog meñ Duubī huī hai āj-kal
chal banā.eñ āshiyāñ us paar ham
raat mujh se kah rahī hai āj-kal
kyā sabab hai dhuup hai sahmī huī
pattharoñ par bhī namī hai āj-kal
taḌpannoñ meñ haiñ ġhazab bechainiyāñ
detā is had tishnagī hai āj-kal
jī rahā huuñ maut kī ḳhvāhish liye
ziist merī dīdanī hai āj-kal
vo sharāfat jo kabhī anmol thī
kauḌiyoñ meñ bik rahī hai āj-kal
zulmatoñ kā daur bhī ye kab talak
raushnī bhī mar rahī hai āj-kal
ziist kī majbūriyāñ mat pūchhiye
saath mere chal rahī hai āj-kal
aa rahī hai phir chunāv kī ḳhabar
shahr bhar meñ ḳhāmushī hai āj-kal
kaun ab vāqif hai apne aap se
aadmī kab aadmī hai āj-kal
Top Urdushayar.com