koī manzil to rāsta hī nahīñ
un se ab koī silsila hī nahīñ
muddatoñ se guzar hai ḳhud se hī
tere jaisā koī milā hī nahīñ
ḳhvāb-e-rañgīñ haiñ us kī āñkhoñ meñ
mere ġham se vo āshnā hī nahīñ
mujh ko manzūr hai ye dar-badarī
tū mire saath jab chalā hī nahīñ
tere jaane ke ba.ad se maiñ ne
naam apnā kabhī sunā hī nahīñ