zindagī bhī ajab tamāshā hai
dhuup ko chhāñv kā sahārā hai
miT rahe naqsh us muqaddar ke
maiñ ne sahrā se jo banāyā hai
ham-navā hai na ham-safar koī
had talak dard be-sahārā hai
apnī tanhā.iyoñ se thak kar aaj
tīrgī ne mujhe pukārā hai
mere ash.ār meñ chamaktā huuñ maiñ
jab inheñ ḳhūn-e-dil pilāyā hai