bujhtī āñkhoñ kī raushnī to dekh
chashm meñ tairtī namī to dekh
aa kabhī tū qarīb aa mere
zīst-o-jāñ meñ tirī kamī to dekh
raat bhar jāgtī hai kyuuñ ye shab
jāgtī shab kī bekalī to dekh
umr bhar pāniyoñ ne likkhī pyaas
pāniyoñ kī ye tishnagī to dekh
saath rah kar bhī duur duur hai tū
zindagī kī ye dil-lagī to dekh
maiñ jo ab roz roz dekhtā huuñ
vo tamāshā tū do ghaḌī to dekh
hijr ke zalzale haiñ utre hue
ḳhud-kushī kartī vo nadī to dekh