qadam qadam pe hameñ rañg-o-bū kā dhokā hai
ḳhizāñ-nasīb rafīqo ye daur kaisā hai
jo tū kahe use chhū kar zarā yaqīñ kar luuñ
tirī jabīñ pe mujhe chāñdnī kā dhokā hai
mirī nigāh ne baḳhshī hai husn ko raunaq
nasīm-e-sub.h se phūloñ kā rañg bikhrā hai
binā-e-sher hai merā mushāhida 'ishrat'
mire kalām meñ har dil kā dard hotā hai