Amrit Lal Ishrat

udas dil hai ki unki nazar nahin hoti

Amrit Lal Ishrat

udaas dil hai ki un kī nazar nahīñ hotī
baġhair shams ke tāb-e-qamar nahīñ hotī
kuchh aise log bhī duniyā meñ ham ne dekhe haiñ
samā bhī jaate haiñ dil meñ ḳhabar nahīñ hotī
uTho to dast-ba-sāġhar chalo to shīsha-ba-dosh
ye mai-kada hai yahāñ yuuñ guzar nahīñ hotī
kabhī kabhī mujhe un kā ḳhayāl aatā hai
kabhī kabhī mujhe apnī ḳhabar nahīñ hotī
shab-e-hayāt hai sāġhar meñ Duub jā 'ishrat'
ye aisī raat hai jis kī sahar nahīñ hotī
Top Urdushayar.com