log to ik manzar haiñ taḳht-nashīnoñ kī ḳhātir
farsh bichhāyā jaatā hai qālīnoñ kī ḳhātir
kitnī be-tartībī phailī kyā kuchh TuuT gayā
saje-sajā.e ghar the unhī makīnoñ kī ḳhātir
Thahar ga.e haiñ ain safar meñ bin soche-samjhe
ham-safarī ke kuchh be-nām qarīnoñ kī ḳhātir
jal bujhte haiñ log kisī ko faiz pahuñchne par
gir jaate haiñ kuchh be-ma.anī zīnoñ kī ḳhātir
ham aur tum jo badal ga.e to itnī hairat kyā
aks badalte rahte haiñ ā.īnoñ kī ḳhātir
ūñche daam lage haiñ humairā kore jazboñ ke
saudā burā nahīñ hai chand mashīnoñ kī ḳhātir