tabī.at in dinoñ auhām kī un manziloñ par hai
dil-e-kam-hausla kāġhaz kī giilī kashtiyoñ par hai
guzashta mausamoñ meñ bujh ga.e haiñ rañg phūloñ ke
darīcha ab bhī merā raushnī ke zāviyoñ par hai
hazāroñ ābnūsī jañgaloñ kā husn kyā ma.anī
hameñ jab saañs lenā kīmiyā.ī tajraboñ par hai
kaḌhā hai merī ajrak par balochī kaam shīshe kā
kisī ke aks kī qaus-e-quzah sab ā.īnoñ par hai
mire āñgan meñ ik nannhī gilahrī kā baserā hai
bahut ma.asūm sā ik naqsh merī kyāriyoñ par hai
maiñ us par apne andar kī humairā vaar aatī huuñ
magar vo be-yaqīnī meñ abhī pahlī hadoñ par hai