havā kī tez-gāmiyoñ kā inkishāf kyā kareñ
jo dosh par liye ho us ke bar-ḳhilāf kyā kareñ
yaqīn aur gumāñ kī jañg se gurez thā nahīñ
jo faisla kiyā hai us se inhirāf kyā kareñ
vo dūsroñ kī aañkh kā ġhubār to liye rahe
to apne gard gard ā.īne ko saaf kyā kareñ
jo manzileñ dikhā.ī thiiñ vo mumkināt meñ se thiiñ
par apnī himmatoñ kī barf meñ shigāf kyā kareñ
'humairā' e'timād kā pahāḌ Dher ho gayā
aur ab bhī sochte haiñ un se iḳhtilāf kyā kareñ